Subscribe:

Sample text

Sample Text

Social Icons

Sunday, 14 July 2013

Love



 Pyar use karo jo tumse pyar kare,                           
 khud se bhi jyada tum par aitabar kare..
 tum bas ek bar kaho ki ruko do pal,
 aur wo un do palo
 ke liye puri jindagi intezar kare...                                    



  Kalam thi hath mai likhna sikhaya apne,
  Takat thi hath mai hosla dilaya apne,
  Manzil thi samne rasta dikhaya apne,
  Hum to sirf dost they,

  Aashiq banaya aapnee.....

 Dil ko teri hi tamanna,
 Dil ko hai tujh se hi pyaar,
 Chaahe tu aaye na aaye,
 Ham karenge intezaar…


Vo Khaamosh Hum Preshaan Se Kyu Hain
Vo Ziddi Hum Nadaan Se Kyu Hain
Unki Aawaz Humari Dhadkan Hai
Per Vo Ye Jaan Kar Bhi Anjaan Se Kyu Hain

Yakeen Na To Hume Azma Ke Dekhlena
Is Dil Ke Tukde Karwa Ke Hajaar Dekh Lena                                                          Har Tukde Par Aap Hi Ka Naam Hoga
Chahe Koi Bhi Tukda Utha Ke Dekh Lena.

Waqt Guzrega Hum Bikhar Jayenge,
Kaun Jane K Hum Kidhar Jayenge.
Hum Apki Parchayi Hain Yaad Rakhna,
Jahan Tanhai Mili Wahan Hum Nazar Ayenge.


Kaise Sukoon Paau Tujhe Dekhne Ke Baad.                    
Kya Gazal Sunaau Tujhe Dekhne K Baad.
Aawaz De Rahi Hai Meri Zindgi Mujhe.
Jaau Na Jaau Main Tujhe Dekhne Ke Baad

Koi aisa DIL ho meri aarzu kare
Kho jaon agar kahin toh meri justuju kare
Main us k zehan-O-Dil me kuch is tarah samaon
WohZuban jab bhi khole meri Guftugu kare


swal kuch bhi ho jwab tum hi ho                                        
rasta koi bhi ho manjil tum hi ho
dukh koi bhi ho khushi tum hi ho
gussa kitna bhi ho pyar tum hi ho...

Chahe To Bhula De Dilse Hume..
Sada Yaad Rakhne Ki Sifaarish Nahi Ki..
Tujhe Hi Maana Hai Rahnuma Apna.
Aur To Kuch Paane Ki Khwaish Nahi Ki
Utra Hai Koi Dilme Mere Chand Nagar Se..                            
Abb Khaauf Nahi Koi Andhero Ke Safar Se..
Jo Baat Usme Hai Kisi Aur Me Nahi..
Kaash Koi Dekhe Use Meri Nazar Se..!

Jaati Nai Aankhon Se Surat Teri
Na Jaati Hai Dil Se Mohabbat Teri
Tere Jane Ke Baad Hota Hai Mehsus Yu
Humein Aur Bhi Jyada Hai Zarurat Teri                      

 Woh chand hai magar aap sey payra tow nahi.
Hoga parwana k shama k bin guzara tow nahi.
Hogey mare dil ne suney koi methi se awaaz
kya aap ne pukara tow nahi


1 comments:

Post a Comment